Aaj ka din...

Aaj ka din bhi ajeeb tha,
har din kuch kam nahi.

aaj ka din bhi haseen tha,
har pal mein ye dum nahi.

aaj fir uthe thake hue se,
karwat badal kar sahas liya..

aaj fir aisa pal mila,
ki ruh ne fir hosla liya.

kaam-kacheri mein aise ulajh gaye,
bhool gaye duniya ki baatien.

kuch kar dikhane ki koshish mein,
beet gaye saikdo, din aur raatien.

aur dophar jab ho gayi thi aadhi,
tab aa gayi tumhari yaad.

kaam ke tanaav se hat gaya mann,
bas aa gayi tumhari yaad.

kuch pal yu sapnon mein bitaye,
fir aage, kuch soch na paye.

Din dhala, chal pade,
bheed mein kuch masti hain jaisi,

Tanhai mein chandni,bacho mein saadgi.
Zindagi toh khoobsurat hain aisi.

Dhoond rahe the moti aur heere.
Dekha sab toh hain yahi.

Aaj ka din bhi ajeeb tha,
har din kuch kam nahi.


-Ayesha


Comments

Popular Posts